Saturday, January 07, 2006

Yeh karam tanhaiyon ka

Think this has to be my all time favorite ghazal, esp. its rendition by Ghulam Ali:

Yeh karam tanhaiyon ka silsila reh jaayega,
Tere mere darmiyan bas ik khalaa reh jaayega.

Aks beh jaayenge saare dhoop ke sailab mein,
Aur koi paaniyon mein jhaankta reh jaayega.

Mujhko mere humsafar aisa safar darpesh hai,
Raasta kat bhi gaya to faasla reh jaayega.

Log so jayenge khamoshi ki chaadar oadhkar,
Chand soone aangalon mein jaagta reh jaayega.

Jo kabhi usne padhi thi mujhse "nassir" maang kar,
Naam mera un kitabon mein likha reh jaayega.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home